Dear C&B,
Plz message is in mix language.
kharay or sachay log aj be is dunya main hain.
per unko dondna perta hay.
Let me tell/remind u a story.
Aik dafa kise ilakay main barish nahi ho rahe the.
logo nay buhat saray harbay azmayay.
like Masjid main dua. dargaho per dua. or buhat saray buzurgo say request for barish.
but kuch na bun paya.
tang a chukay thay sub log.
unko aik imam masjid nay mashvara diya kay bas ab aik he sahib baqe hain jin say request nahi ker sakay.
wo kisee ke bat nahi suntay... aur na he ziada bat kertay hain.
aik aor masla hay... wo kabe be apnay ap ko buzurg ya waliallah ya majzoob ya sofi aisa kuch b nahi kehnay daitay or na he khudh kehtay hain.
bas ham sub log un kay pass jatay hain.
so ho liyay buhat say log imam sb kay sath.
hova aisay he... jaisa imam sb nay kaha tha.
per wo log bazid thay kay ab ap he dua kerain.
or karain gay to ham log wapis jayay gay.
buhat mushkil say wo man gayay.
per unho nay kaha... kay yeh kam maira nahi... barish bersanay ke dua ka zima aik aourat per hay.
pehle bat tum log sharif ho wahan tak ja he na paoo gay... or wo tum logo ke kabe na sunay gee...
bahar hal buhat israr per logo ko baba g nay us ka pata bata dia....
ab unhe paoo say loutay or aik awara bazar main aik jism faroosh kay gar kay pass puhanchay...
or hairan thay kay Allah nay kaisay kaisay log is dunya main or kahan kahan chupa kay rakhay hain.
ab wo to darwaza tab kholte kay us ko malloom na hota...
kaee din guzar gayay us nay apna dar he na khola.
ab sub log us kay dar per baith gayay.....
or na janay ke than leee.
mukhtasir yeh kay buhat try kay badd wo mann gaee...
kay acha jaoo main dua ker don gee... per maire dua say kuch nahi hona...
tum logo ko kisee nay behka dia hay...
bhla main or maira mukam or barish....
per dua ker daite hon....
bibi nay...apnay kareeb maidan main bassera kia or apnay moun koo kala ker kay roo roo ker dua keee apnay us rubsay jis nay un ke yeh duty laga rakhe the... per wo apna ap kahin be chupa na paee..
abe log apne garoo main wapis na puhanchay thay kay barish ke rimgim unkay chehroo ko kushe kay asar dikha rahe the...
buhat say log bhagay kay ham apne liyay dua kervatay hain unsay...
par koun janay wahan par kabe koee kalsooom rehte b the...
koe be nahi janta...
dear naik log apne advertisement kabe nahi kertay...
sorry for little long reply...
aarfie.....
Hi aarfie!
Dear to be honest the thing that attracted me most was when zalmayday said he is not charging any money to his patients. I thought he must be some Waliullah and a pious and naik and extra ordinary person and worth visiting. I still gave him benefit of doubt and still believed in positivity and tried his medicine but all in vain.
Any ways I caution every one to be extremely careful. Thanks